PM Modi ki Appeal: 1 Saal Sona na Kharidein aur Petrol-Diesel Bachayein! Jaane Kya Hai Poora Maamla
Namskar dosto aaj ki kabar bahut hi unik hai ye kabar sabhi logon ke liye hai ise aam aadami bahut surakshit rahega aur unki Jeb per Koi bojh bhi nahin padega arthvyavastha (economy) ko lekar. America-Iran ke beech badhte yuddh (war) ke khatre ko dekhte huye, Prime Minister Narendra Modi ne desh vasiyon se ek bahut badi appeal ki hai
PM Modi ne saaf kaha hai ki agar humne aaj savdhani nahi barti, toh aane wale samay mein tel aur sone ki kimaten aasman chhu sakti hain or desh ke halat buri tarah bigad sakte hai jo esko sambhalna bahut mushkil ho jayega aur Desh kam se kam 200 sal piche Chala jaega
In 4 Cheezon par Bharat kharch kar raha hai ₹22 Lakh Crore!
Newspaper ki report ke mutabik, Bharat har saal in 4 bade madon (items) par bhari-bharkam paisa kharch karta hai:
Sona (Gold): Har saal lagbhag ₹6 lakh crore ka sona import hota hai jo desh ki economy me bari asar dekne ko milega
Videsh Yatra: Indian log videsh ghumne par ₹3.65 lakh crore kharch kar rahe hain jo Kisi bhi desh ki arthvyavastha ko majbut banane ke liye bahut hi takat rakhta hai
Fertilizer: Kheti ke liye ₹1.50 lakh crore ka fertilizer bahaar se aata hai bahar se aata hai or ye America Iran yuddh ke Karan bigad raha hai
Kacha Tel (Crude Oil): Tel ka import bill sabse zyada hai. Yah yuddh ke Karan har saal kacha tel 10 lakh crore RS ka tel aayat karta hai Bharat jarurat ka 70% Tel bahar se aayat karta hai aur 2024-25 report ke anusar Bharat 11.66 lakh karod rupaye kharch kara hai kurud ke bhav ghatne se 2025-26 me kharch 10.35 lakh karod Rs tha pichhle 2 mahine ke yuddh mein crude oil 50% mahanga Ho Gaya isliye is bar kharch 17 lakh kroad rupaye Tak Ja sakta hai ine sab Ko dekhte hue yuddh ke Karan Sarkar ko har mahine 14 hazar karod rupaye ka nuksan ho raha hai
PM Modi ne kyun ki 'Sona na kharidne' ki appeal?
PM Modi ne kaha ki "Agli Diwali tak sone ke gehne na kharidein." Iske peeche ka main reason hai Foreign Exchange. Jab hum sona kharidte hain, toh desh ka paisa (dollars) bahaar jata hai. Agar hum ek saal sona nahi kharidenge, toh desh ke karodon rupaye bachenge jo vikas (development) mein kaam aayenge taki desh baki desho se piche nhi rah sake
Petrol aur Diesel bachana kyun zaroori hai?
Duniya bhar mein halaat kharab hain. America aur Iran ke tanaav ki wajah se crude oil supply chain disturb ho rahi hai.
PM Modi ne sujhaav diya hai ki log Public Transport (Metro/Bus) ka use karein.
Jitna ho sake Fuel bachayein taki tel ki mang kam ho aur qimmatein control mein rahein ise ayat kam ho sake aur faltu Paisa barbad Na Ho
Kya isse Mahengai kam hogi?
Agar desh ke log PM ki is appeal ko maante hain aur import kam hota hai, toh Indian Rupee mazboot hoga. Iska direct asar mahengai par padega aur cheezon ke daam kam ho sakte hain varna mahangai Aasman chhune lagegi aur FIR Sarkar ko Dushman bataaoge isliye kabhi kabhi Janata ko Sarkar ki baat manani chahie desh ki arthvyavastha samanya ke liye Janata ka bahut bada hath rahata hai or Desh ki arthvyavastha ko mazboot banana hum sab ki zimmedari hai aur humein milkar apna yogdaan dena chahiye."
Conclusion
Ye appeal sirf ek sujhav nahi, balki desh ki arthvyavastha ko bachane ka ek rasta hai. Ek zimmedar nagrik hone ke nate, humein bhi tel aur sone ke fizool kharch par rok lagani chahiye.




टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें